• Hey there! Welcome to TFC! View fewer ads on the website just by signing up on TF Community.

RuPay launch 'Tap & Pay' on GooglePay app:

2-3 years lag jayega mujhe toh aisa lag raha hai.

Saare banks k POS machine me update dena hoga GPay k through, alag alag technology service provider companies process karega.

Isiliye GPay me update nahi aaya kyunki acquirer POS banks sab live nahi hai.
G-pay ne toh announcement kara tha iss sal ke end tak aayega...lets see 😐 kab tak aata hai
 
Kya kar saktein hain, bolenge, calendar year thodi na bole the 👀 ya unforeseen circumstances/ thoda upar niche toh hota hi hai, 100% year end mein hi hoga wo bhi nahi bole the, expected se khel jayenge 😬

And Rupay hain toh time lagna hi hai 😐
Visa card ne 2 years lagaya tha India me annoucement k baad GPay support me, RuPay ko bhi time do.
 
Visa card ne 2 years lagaya tha India me annoucement k baad GPay support me, RuPay ko bhi time do.
Ye toh pehle se kaam kar raha tha tabhi toh demonstration diya na and tabhi GPay year end bola tha, jada better rehta ki pehle announcement and launch ek sath karte

Hope, ki NCMC bhi add karke use kar paye, and phone ke NFC se bal top-up kar paye.

Tabhi mere liye NCMC exist karega warna ... koi matalab hi nahi 🤣
 
Woh Visa Card ne bhi India me GPay k sath demo dekhaya tha but launch 2 years baad hua.

Anyway, RuPay support team ne kaha tha baki apps k sath bhi NFC ka kam chal raha hai.
 
Woh Visa Card ne bhi India me GPay k sath demo dekhaya tha but launch 2 years baad hua.

Anyway, RuPay support team ne kaha tha baki apps k sath bhi NFC ka kam chal raha hai.
Baaki app ke sath ekdam se na bhi karein, toh theek hain, G-Pay jiske sath start Kiya tha uske sath and sabhi banks ke sath karein, DC, CC and Prepaid Card jo bhi rupay network mein hain...
 
Abhishek bhai yahan aap rupay ko nahi bacha sakte. Accept kar lo ki NPCI slow hai.
Sarkari hAi yaar rupay
Itna ummid kyu rakh rahe sarkari chiz se..
Isme slow ka kya hai, dhire dhire na enable karega.

NPCI/RuPay k hath me akele thorai hai, banks and GPay bhi aram aram se karta hai saare kam.

Itne saalo me toh tumlogo ko pata bhi chal jane chahiye, NPCI kab ka circular nikal dete hai but banks apne hisab se kam karta hai.
 
RuPay k reply padhlo - NFC feature is live with GooglePay app.
Screenshot_20241230-181910.webp
Woh GPay and banks hai jo live nahi hua hai ab tak.

Toh waise hi hawa mein live? Live kehne ka tabhi sense banaega Visa & MC k jaise G-pay pe Rupay bhi show karne lagega and add karne ka option aayega...

Banks ko bhi toh layega atleast renowned PSUs ya Pvts, first phase mein, pura toh nahi hi le aapyega.

Ayesa nahi hai ki sabhi banks susta rehte hain unko aur jada faida hi hoga, isme proactively part lene se uss bank ka txns ka volume aur badh jayega, ek aur convenient payment method se...
Isse Rupay, G-pay, Banks, Customer sabhi ko faida hoga

Demo jiske sath kara uska bhi nahi aaya...

We all know different parties/ stakeholders involved hai toh thoda upar niche, lekin coordination Rupay/NPCI ka kaise fast-track pe leke jaye...

Anyway, ham log ka kehne se kuch nahi hoga jab inlogo mood hoga tab launch karega 🙂
 
View attachment 79012

Bank ko faida ho ya na ho chize waise kam nahi karta hai.

Banks apna software 3 to 6 months me upgrade karte hai. Woh bhi aisa nahi ki ekbar me kar dete hai. Phase by phase karte hai.

Isiliye saalo lag jate hai kabhi kabhi.

last line jo kaha tumne wohi sahi hai "Anyway, ham log ka kehne se kuch nahi hoga jab inlogo mood hoga tab launch karega"

RuPay AutoPay (recurring payment) ka yehi haal hai, 2022 se RuPay and banks k saare meeting k baad ek circular release hota hai, usme mentioned hai dekhna RuPay AutoPay (recurring payment) ka. Lekin koi bhi banks abhi tak live nahi kiya.

Kuch banks k tender nikalte hai usme dekhne ko jarur mil jata hai RuPay AutoPay k liye. Tender complete ho gaya, banks ne uske liye crore o kharch bhi kar diya, kyunki amount bhi tender pe likha hota hai but phir bhi customers k liye ab tak live nahi kiya banks ne.
 
NPCI/Rupay & banks be like:

Dekh rahe ho binod kitna selfish bana ja raha hai 🙂

Ayesa karye aap S-Wallet ko boliye sabhi smartphone brands ke liye compatible banaye, G-Pay ke jaise pehle 👀
Samsung wallet has given more retruns than any other UPI app and significantly higher rewards, since it started. GPay just gives some junk vouchers like airtel sim card free delivery, so I feel Samsung Pay is good. And works well. Yes, of course only Samsung phones are compatible.
Just today got a 50/ amazon voucher for checking balance, 100/ voucher for one transaction and 250/ voucher for tap and pay(3 txns)
 
Have I ever denied that?
I always considered Samsung Wallet>>>G-Pay/ Wallet, except some features.
Just today got a 50/ amazon voucher for checking balance, 100/ voucher for one transaction and 250/ voucher for tap and pay(3 txns)
Yes 😊

But you wished that the feature should come to Samsung Wallet first, without considering the stakeholders’ POV. The stakeholders will benefit if the feature is accessible to the public at large. If it is added exclusively to Samsung Wallet, only Samsung users can use the service. However, if it is added to GPay, all eligible users, including Samsung users, can use it. No doubt, it will eventually be added to Samsung Wallet as well.

It's started with GPay because GPay may have shown more initiative to bring it to the table. Other stakeholders agreed, considering GPay’s market share and compatibility.
 
Back
Top